Kabhi Kabhi (कभी कभी)



कभी कभी मेरे दिल में ख्याल आता है,
की ज़िन्दगी तेरी ज़ुल्फ़ों की नरम छाओं में गुजरने पाती,
तो शादाब हो भी सकती थी।

ये रंज-ओ- ग़म की स्याही जो दिल पे छायी है,
तेरी नज़र की शुआओं में खो भी सकती थी।


मगर ये हो न सका।
मगर ये हो न सका और अब ये आलम है,
की तू नहीं, तेरा ग़म तेरी जुस्तजू भी नहीं।

गुज़र रही है कुछ इस तरह ज़िन्दगी जैसे,
इसे किसी के सहारे की आरज़ू भी नहीं।

न कोई राह, न मंज़िल, न रौशनी का सुराग,
भटक रही है अंधेरों में ज़िन्दगी मेरी।

इन्ही अंधेरों में रह जाऊंगा कभी खोकर,
मैं जानता हूँ मेरी हम-नफ़स, मगर यूँही,
कभी कभी मेरे दिल में ख्याल आता है।

*********************************

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai,
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne paati,
to shadab ho bhi sakti thi.

Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hai,
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.

Magar ye ho na saka.
Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hai,
Ki tu nahi, tera gham teri justjoo bhi nahi.

Guzar rahi hai kuch iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahi.

Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag,
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.

Inhi andheron main reh jaunga kabhi kho kar,
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yunhi,
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.


- Sahir Ludhyanvi

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Kashti (कश्ती)