Aas Paas (आस-पास)

जब भी यह दिल उदास होता है,
जाने कौन आस-पास होता है

होंठ चुपचाप बोलते हों जब,
सांस कुछ तेज़-तेज़ चलती हो,
आंखें जब दे रही हों आवाज़ें,
ठंडी आहों में सांस जलती हो

आँख में तैरती हैं तसवीरें,
तेरा चेहरा तेरा ख़याल लिए,
आईना देखता है जब मुझको,
एक मासूम सा सवाल लिए

कोई वादा नहीं किया लेकिन,
क्यों तेरा इंतजार रहता है,
बेवजह जब क़रार मिल जाए,
दिल बड़ा बेकरार रहता है

जब भी यह दिल उदास होता है,
जाने कौन आस-पास होता है

jab bhi ye dil udaas hota hai,
jaane kaun aas paas hota hai.

honth chup chap bolte ho jab,
saanse kuch tez tez chalti ho,
aankhein jab de rahi ho aawazein,
thandi aanhon mein saans jalti ho.

aankhon mein tairti hai tasveer,
tera chehra tera khayal liye,
aaina dekhta hai jab mujhko,
ek masoom sa sawaal liye.

koi wada nahi kiya lekin,
kyon tera intezaar rehta hai,
bewajah jab karaar mil jaye,
dil bada bekarar rehta hai. 

jab bhi ye dil udaas hota hai,
jaane kaun aas paas hota hai.

- Gulzar
 

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Khaali Makaan (खाली मकान)

Kashti (कश्ती)