Bhool Jata hoon (भूल जाता हूँ)

नज़र जब तुम से मिलती है, मैं खुद को भूल जाता हूँ,
बस एक धड़कन धड़कती है, मैं खुद को भूल जाता हूँ।
तुम्हें मिलने से पहले मैं बहुत सजता संवरता हूँ,
मगर जब तुम संवारती हो, मैं खुद को भूल जाता हूँ।

मैं अक्सर किताबों पे तेरा ही नाम लिखता हूँ,
मगर कुछ तुम जो लिखती हो, मैं खुद को भूल जाता हूँ।

मैं अक्सर ये ही कहता हूँ, मैं तुम से प्यार करता हूँ,
मगर जब तुम यह कहती हो, मैं दुनिया भूल जाता हूँ।

*************************************************

Nazar jub tum se milti hai, main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dhadkan dhadakti hai, main khud ko bhool jata hoon.

Tumhain milne se pehle main bahut sajta sanwarta hoon,
Magar jub tum sanwaarti ho, main khud ko bhool jata hoon.

Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hoon,
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hoon.

Main aksar yehi kehta hoon, main tum se pyar karta hoon,
Magar jab tum yeh kehti ho, main duniya bhool jata hoon.

- Gulzar

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Khaali Makaan (खाली मकान)

Kashti (कश्ती)