Dariya (दरिया)

हाथ छूटे भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते,
वक़्त की शाख से लम्हें नहीं तोडा करते।

जिसकी आवाज़ में सिलवट हो निगाहों में शिकन,
ऐसी तस्वीर के टुकड़े नहीं जोड़ा करते।


शहद जीने का मिला करता है थोड़ा थोड़ा,
जाने वालों के लिए दिल नहीं तोडा करते।

लगके साहिल से जो बहता है उसे बहने दो,
ऐसी दरिया का कभी रुख नहीं मोड़ा करते।


Haath Chhoote Bhi To Rishte Nahin Chhoda Karte,
Waqt Ki Shaakh Se Lamhein Nahin Toda Karte.

Jiski Aawaaz Mein Silwat Ho Nigahon Mein Shikan,
Aisi Tasvir Ke Tukde Nahin Joda Karte.

Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thoda Thoda,
Jaane Waalon Ke Liye Dil Nahin Toda Karte.

Lagke Saahil Se Jo Behta Hai Use Behne Do,
Aisi Dariya Ka Kabhi Rukh Nahin Moda Karte.

- Gulzar

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Kashti (कश्ती)