Gila (गिला)

वो जो खुद पैरवी-ऐ-ईद-ऐ-वफ़ा करता था,
मुझसे मिलता था तो तलकीन-ऐ-वफ़ा करता था।

उसके दामन मैं कोई फूल नहीं मेरे लिए,
जो मेरी तंगी-इ-दामन का गिला करता था।
आज जो उसको बुलाया तो वो गुमसुम ही रहा,
दिल धड़कने की जो आवाज़ सुना करता था।

आज वो मेरी हर एक बात के मायने पूछे,
जो मेरी सोच की तफ़्सीर लिखा करता था।

उसकी देहलीज़ पर सदियों से खड़ा हूँ “मोहसिन”
मुझसे मिलने को जो लम्हात गिना करता था।

*************************************************************

Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha,
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha.

Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye,
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha.

Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum He Raha,
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha.

Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayne Poochay,
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha.

Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!!!


- Gulzar

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Kashti (कश्ती)