Judai (जुदाई)


This is a Gulzar composition from the Movie Ghulami.

ज़िहाल-इ-मुस्कीन मुकून बा-रंजिश,
बहाल-ऐ-हिजरा बेचारा दिल है।
सुनाई देती है जिसकी धड़कन,
तुम्हारा दिल या हमारा दिल है।
वो आके पहलू में ऐसे बैठे,
के शाम रंगीन हो गयी है,
ज़रा ज़रा सी खिली तबीयत,
ज़रा सी ग़मगीन हो गयी है।

अजीब हैं दिल के दर्द यारों,
न हो तो मुश्किल है जीना इसका,
जो हो तो हर दर्द एक हीरा,
हर एक ग़म है नगीना इसका।

कभी कभी शाम ऐसे ढलती है,
जैसे घूंघट उतर रहा है,
तुम्हारे सीने से उठता धुंआ,
हमारे दिल से गुज़र रहा है।

ये शर्म है या हया है क्या है,
नज़र उठाते ही झुक गयी है,
तुम्हारी पलकों से गिरके शबनम,
हमारी आँखों में रुक गयी है।

********************************

Zihal-e-muskeen maqun ba-ranjish,
Bahaal-e-hijra bechara dil hai.
Sunaai deti hai jisaki dhadkan,
Tumhara dil ya hamara dil hai.

Wo aake pehloo mein aise baithe,
Ke shaam rangeen ho gayi hai,
Zara zara si khili tabeeyat,
Zaraa si gamgeen ho gayi hai.

Ajeeb hain dil ke dard yaaron,
Na ho to mushkil hai jeena iska,
Jo ho to har dard ek heera,
Har ek gham hai nageena iska.

Kabhi kabhi shaam aise dhalti hai,
Jaise ghoonghat utar raha hai,
Tumhaare seene se uthta dhuaan,
Humaare dil se guzar raha hai.

Ye sharm hai ya hayaa hai kya hai,
Nazar uthaate hi jhuk gayi hai,
tumhaari palakon se girke shabnam,
hamaari aankhon mein ruk gayi hai.


- Gulzar

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Khaali Makaan (खाली मकान)

Kashti (कश्ती)