Lakeerein (लकीरें)



हाथों की लकीरों को पढ़ना तो मुझे नहीं आता,
हाँ ये ज़रूर मालूम है, की ये मेरी बात नहीं सुनती।

कितना भी चाह लूँ, की किस्मत को पलट दूँ,
खूब करके देख लिया, ये मेरी बात नहीं सुनती।

जा तो फिर, करले जो तुझे है करना,
मेरे कहने में क्या है, जो ये मेरी बात नहीं सुनती।

दीप

*****************************

Haatho ki lakeeron ko padhna to mujhe nahi aata,
Haan ye zaroor maloom hai, ki ye meri baat nahi sunti.

Kitna bhi chah loon ki kismat ko palat doon,
Khoob karke dekh liya, ye meri baat nahi sunti.

Ja to fir, karle jo tujhe hai karna,
Mere kehne mein kya hai, jo ye meri baat nahi sunti...

- Deep

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Kashti (कश्ती)