Taqleef (तकलीफ)

  मुहब्बत भी अजब शय है बड़ी तकलीफ देती है,
इसी में लुत्फ़ हैं सारे, यही तकलीफ देती है।


 यही दस्तूर है शायद वफादारी की दुनिया का,
जिसे जी जान से चाहो वही तकलीफ देती है।

 शिकायत कर रहा था आसमान से एक सेहरा कल,
मुझे ख़्वाबों में अक्सर इक नदी तकलीफ देती है।

पलक भर का मिलन होता है दो अनजान चेहरों में,
मगर फिर उम्र भर ये इक घड़ी तकलीफ देती है।

क़ज़ा का खौफ लेकर जी रहे हैं सब ज़माने में,
हक़ीक़त में सभी को ज़िन्दगी तकलीफ देती है।

कभी मौका-बे-मौका हो तो कोई सब्र भी कर ले,
मगर आठों पहर की बेखुदी तकलीफ देती है। 

सवा नेज़े पे जब आ जाएगा सूरज तो क्या होगा,
हमें तो गर्मियों की लू बड़ी तकलीफ देती है।

ज़रा कच्चे मकानों की तरफ भी तुम नज़र डालो,
जहां बारिश की हर तीखी झड़ी तकलीफ देती है।

अदावत के जिन्होंने हर तरफ परचम उड़ाए थे,
उन्हें अब दोस्तों की बेरुखी तकलीफ देती है।

नुमु होते ही जिसके बाग़बान हसरत से तकता है,
कई काँटों को वो ताज़ा कली तकलीफ देती है।

भुलाने की तगादों में जला डाले हैं खत मेरे
मगर उसको उसी की डायरी तकलीफ देती है.

नज़र आये जहां से रौशनी मस्लूब आँखों की,
बयाज़े-दिल को ऎसी शायरी तकलीफ देती है।

muhabbat bhi ajab shay hai bari takleef deti hai
isi mein lutf hain saare, yahi takleef deti hai.

yahi dastoor hai shaayad wafaadari ki duniya ka
jise jee jaan se chaaho wahi takleef deti hai.

shikaayat kar rahaa tha aasmaan se aik sehra kal
mujhe khawaabon mein aksar ik nadi takleef deti hai.

palak bhar ka milan hota hai do anjaan chehron mein
magar phir umr bhar ye ik ghari takleef deti hai.

kazaa ka khauf lekar jee rahe hain sab zamaane mein
haqiiqat mein sabhi ko zindagi takleef deti hai.

kabhi mauka-b-mauka ho to koi sabr bhi kar le
magar aathon pehar ki bekhudi takleef deti hai.

savaa neze pe jab aa jaayega sooraj to kya hoga
humen to garmiyon ki loo bari takleef deti hai.

zaraa kachche makaanon ki taraf bhi tum nazar dalo
jahaan baarish ki har teekhee jhari takleef deti hai.

adaavat ke jinhonne har taraf parcham udaaye the
unhen ab doston ki berukhi takleef deti hai.

numu hote hi jiske baaghbaan hasrat se taktaa hai
kai kaanton ko wo taazaa kali takleef deti hai.

bhulaane ki tagaadon mein jalaa daale hain khat mere
magar usko usi ki diary takleef deti hai.

nazar aaye jahaan se roshni masloob aankhon ki
bayaaze-dil ko aisii shayari takleef deti hai.

- Gulzar

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Kashti (कश्ती)