Yaar Julaahe (यार जुलाहे)

मुझको भी तरकीब सिखा कोई यार जुलाहे,

अकसर तुझको देखा है कि ताना बुनते,
जब कोइ तागा टूट गया या खत्म हुआ,
फिर से बांध के, और सिरा कोई जोड़ के उसमे,
आगे बुनने लगते हो,

तेरे इस ताने में लेकिन,
इक भी गांठ गिराह बुन्तर की, देख नहीं सकता कोई,

मैनें तो ईक बार बुना था एक ही रिश्ता,
लेकिन उसकी सारी गिराहे, साफ नजर आती हैं मेरे यार जुलाहे,

मुझको भी तरकीब सिखा कोई यार जुलाहे ।



Mujhko Bhi Tarkeeb Sikha Koi Yaar Julahe

Aksar Tujhko Dekha Hai Ek Tana Bunte
Jab Koi Taga Toot Gaya Ya Khatam Hua
Phir Se Baandh Ke Aur Sira Koi Jodh Ke Us Mein
Aage Bun ne Lagte Ho

Tere Is Tane Mein Lekin
Ik Bhi Gaanth GirAh Buntar Ki Dekh Nahi Sakta Hai Koi

Maine To Ek Baar Buna Tha Ek Hi Rishta
Lekin Uski Saari Girhain Saaf Nazar Aati Hain Mere Yaar Julahe

Mujhko Bhi Tarkeeb Sikha Koi Yaar Julahe.

- Gulzar

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Khaali Makaan (खाली मकान)

Kashti (कश्ती)