Faasle aise bhi honge (फासले ऐसे भी होंगे)


A beautiful Ghazal sung by Ghulam Ali :

फासले ऐसे भी होंगे ये कभी सोचा न था,
सामने बैठा था मेरे, और वो मेरा ना था।

वो की खुशबू की तरह फैला था मेरे चार सू,
मैं उसे महसूस कर सकता था, छु सकता न था।


रात भर पिछली ही आहट कान में आती रही,
झाँक कर देखा गली में, कोई भी आया न था।

खुद चढ़ा रखे थे तन पे अजनबियत के गिलाफ,
वरना कब इक दुसरे को हमने पहचाना न था।

अक्स तो मौजूद थे पर अक्स तन्हाई के थे,
आइना तो था मगर उस में तेरा चेहरा न था।

आज उसने दर्द भी अपने अलहदा कर दिए,
आज मैं रोया तो वो मेरे साथ रोया न था।

आई सभी वीरानियाँ उस के जुदा होने से थी,
आँख धुंधलाई हुई थी, शहर धुंधलाया न था।

याद कर के और भी तकलीफ होती थी "अदीम",
भूल जाने क सिवा अब कोई भी चारा न था।

***********************

Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,
saamne baitha thaa mere, aur wo mera naa tha.

wo ki khushboo ki tarah faila tha mere char suu,
main use mehsoos kar sakta tha, choo sakta na tha.

raat bhar pichli hi aahaat kaan mein aati rahi,
jhaank kar dekha gali mein, koi bhi aayaa na tha.

khud chadha rakhe thhe tan pe ajnabiyat ke gilaaf,
varnaa kab ik doosre ko humne pehchana na tha.

aks to maujood they par aks tanhai ke they,
aaina to tha magar us mein tera chehra na thaa.

aaj usne dard bhi apne alahada kar diye,
aaj main roya to vo mere saath roya na tha.

aayi sabhi veraaniyaan us ke judaa hone se thi,
aankh dhundhalai hui thi, shahar dhundhalayaa na tha.

yaad kar ke aur bhi takleef hoti thi "Adeem",
bhool jaane k siva ab koi bhi chaara na thaa...

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Khaali Makaan (खाली मकान)

Kashti (कश्ती)