Khwahish (खवाहिश)


खवाहिश नहीं मुझे मशहूर होने की।

आप मुझे पहचानते हो बस इतना ही काफी है।

अच्छे ने अच्छा और बुरे ने बुरा जाना मुझे।

क्यों की जिसकी जितनी जरुरत थी उसने उतना ही पहचाना मुझे।


ज़िन्दगी का फ़लसफ़ा भी कितना अजीब है,

शामें कटती नहीं, और साल गुज़रते चले जा रहे हैं....!!

एक अजीब सी दौड़ है ये ज़िन्दगी,

जीत जाओ तो कई अपने पीछे छूट जाते हैं,

और हार जाओ तो अपने ही पीछे छोड़ जाते हैं।

*******************************************

Khwahish nahi mujhe mashoor hone ki,
Aap mujhe pehchaante ho bas itna hi kaafi hai..
Ache ne acha aur bure ne bura jaana mujhe,
kyunki jiski jitni zaroorat thi usne utna hi pehchana mujhe..

Zindagi ka falsafa bhi kitna ajeeb hai,
shaamein kat-ti nahi aur saal guzarte chale jaa rahe hain!!
Ek ajeeb si daud hai zindagi,
jeet jao to kayi apne peeche chhoot jaate hain,
aur haar jao to apne hi peeche chhod jaate hain...

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Khaali Makaan (खाली मकान)

Kashti (कश्ती)