Khaali Samandar (खाली समंदर)



Lines by Gulzar from the movie dus kahaniyaan

उसे फिर लौट के जाना है ये मालूम था उस वक़्त भी, जब शाम की सुर्ख-ओ-सुनहरी रेत पर वो दौड़ती आई थी।
और लेहराके यूँ आगोश में बिखरी थी जैसे पूरा का पूरा समंदर लेकर उमड़ी है।
उसे जाना है ये वो भी जानती तो थी मगर हर रात फिर भी  हाथ रख कर चाँद पर खाते रहे कसमें।
न मैं उतारूंगा अब साँसों के साहिल  से, न वो उतारेगी मेरे आसमान पर झूलते तारों के पींगों से।

मगर जब कहते कहते दास्ताँ फिर वक़्त ने लम्बी जम्हाई ली, न वो टेहरी न मैं रोक पाया था।
बहुत फूँका सुलगते चाँद को फिर भी उसे एक एक कला घटते हुए देखा,
बहुत खींचा समंदर को मगर साहिल तलक हम ला नहीं पाये,
सेहर के वक़्त फिर उतरे हुए साहिल पे एक डूबा हुआ खाली समंदर था।

***********************************************************

Use fir laut ke jaana hai ye maloom tha us waqt bhi, jab shaam ki surkh-o-sunhari ret par wo daudti aayi thi.
aur lehraake yun aagosh mein bikhri thi jaise poora ka poora samandar lekar umadi hai
Use jaana hai ye wo bhi jaanti to thi magar har raat fir bhi  haath rakh kar chaand par khaate rahe kasmein
Na main utarunga ab saanson ke saahil  se, na wo utaregi mere aasmaan par jhulte taaron ke peengon se
magar jab kehte kehte daastaan fir waqt ne lambi jamhaayi li, na wo tehari na main rok paaya tha
Bahut phoonka sulagte chaand ko fir bhi use ek ek kala ghat te hue dekha
Bahut kheencha samandar ko magar saahil talak hum laa nahi paaye
Seher ke waqt fir utare hue saahil pe ek dooba hua khaali samandar tha...

-- Gulzar

Comments

Popular posts from this blog

Aahista chal zindagi (आहिस्ता चल ज़िन्दगी)

Rimjhim (रिमझिम)

Sab bikta hai (सब बिकता है)

Kashti (कश्ती)